gham ne dilon ko ram kiya aur guzar gaya zalim ne apna kaam kiya aur guzar gaya sayyaad kuchh to khatir-e-ahal-e-wafa kare ye kya asir-e-dam kiya aur guzar gaya ai saqi-e-bahaar tere zauq ke nisar har gul ko ek jam kiya aur guzar gaya aaya tha but-kada bhi meri rah-e-shauq mein main ne to ek salam kiya aur guzar gaya ye kaenat hai ki kisi ne ba-sad hijab ek khas jalwa aam kiya aur guzar gaya aaya qarib 'kaif' koi mast-e-naz-e-husn dali nazar ghulam kiya aur guzar gaya