jab ba-faizan-e-junun parcham-e-zar khulte hain qufl-e-shab tod ke anwar-e-sahar khulte hain yun ubharti hai dil-e-tar mein ummid ki zau jaise zindan ke kabhi rauzan-o-dar khulte hain gham se milta hai meri fikr ko is tarah faragh jis tarah tair-e-par-basta ke par khulte hain abr barse to bayaban mein mahakti hai bahaar lakh mai-khane sar-e-rahguzar khulte hain jin ko afzaish-e-mantiq ne kiya ho takhliq aise uqde bhi kahin ahl-e-nazar khulte hain shaikh ji arsa-e-jalwat mein hain paband-e-rusum par ye khalwat mein bahut shoabda-gar khulte hain fahm-o-iblagh koi khel nahin hai 'akhtar' khun-e-dil dene se asrar-e-hunar khulte hain