haal duniya mein hua rahm ke qabil apna

haal duniya mein hua rahm ke qabil apna
na khasam apna hai baji na mua dil apna

kaise kahte ho nahin koi muqabil apna
ai ji sine mein tatolo to zara dil apna

hausla kya karun dikhlaun main kya dil apna
marduwa bhi to ho guyyan kisi qabil apna

waqt ki apne main laila hun wo majnun guyyan
aur kya chahiye chhap jaega nowel apna

is se zyaada to main habba nahin dene ki unhen
ghar mein baithi wo nikala karen fazil apna

sabr bandi ka sameta kiye marte marte
qabr mein un ki farishta na ho nazil apna

chaar ke kandhe pe boli ye bahishti bibi
panw bhi ghar se jo nikla to ba-mushkil apna

ek se lakh tak inkar nahin karne ki
la ke dikhlaen to mujh ko wo zara bill apna

kahin aankhon se na ojhal koi tinka ho jae
rakhen asbab nigahon mein wo til til apna

sasen duniya mein kahin sachchi hui hain beta
hum bhi jhute sahi dawa bhi hai baatil apna

raat charrai thi phir agli mohabbat un ki
mujh ko padh padh ke sunaya kiye nowel apna

jonk patthar mein nahin lagti hai ye sach hai magar
kaise kar le koi tera sa mue dil apna

ek se ek zamane mein pade hain 'shaida'
kaise kahte ho nahin koi muqabil apna


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close