ghut ke rah jati hain sine mein sadaen kitni jam gai hain mere honton pe duaen kitni puchhna chahiye aadam ko khuda se apne ek hi jurm ki hoti hain sazaen kitni zahr-alud hansi galiyan aansu ashaar mere jazbaat ne odhi hain ridaen kitni haq ki aawaz ko pahchan sakunga kaise gunjti hain mere kanon mein sadaen kitni mere khaliq mujhe itni to khabar di jae mujh se sarzad abhi hona hain khataen kitni kuchh hisab is ka farishton ne bhi rakkha hoga mustarad kar di gain meri duaen kitni ras aane ki tarah ras nahin aati hain kaj hain doshiza-e-hasti ki adaen kitni