kahin jangal kahin darbar se ja milta hai silsila waqt ka talwar se ja milta hai main jahan bhi hun magar shahr mein din dhalte hi mera saya teri diwar se ja milta hai teri aawaz kahin raushni ban jati hai tera lahja kahin mahkar se ja milta hai chaudhwin-raat teri zulf mein dhal jati hai chadhta suraj tere rukhsar se ja milta hai gard phir wusat-e-sahra mein simat jati hai rasta kucha o bazar se ja milta hai 'ram' har-chand kai log bichhad jate hain qafila qafila-salar se ja milta hai