har ek rang har ek khwab ke hisar mein tu ki aansuon ki tarah chashm-e-intizar mein tu udas rakh se manzar ke ek shahr mein main nae jahan ki ek subh-e-zar-nigar main tu mein itne dur ufuq se pare bhi dekh aaya mila to jism par bikhre hue ghubar mein tu mein zakhm zakhm khizaon ke bich zinda hun numu-pazir bahaaron ke rang-zar mein tu ki tera nam to jalte diyon ki lau mein hai tu bansuri ki har ek tan mein pukar mein tu ye rahguzar to tamazat ke shahr ko jae kahin jale na bahishton ke e'tibar mein tu mujhe bacha le taaqub se zard mausam ke mujhe chhupa le panahon ke sabz ghaar mein tu