har ek nazar ho husn-e-nazar ai dost ye aisa khel nahin jalwe ka nazara khel bhi hai jalwe ka nazara khel nahin ek umr gulon ke sae mein guzri to samajh mein baat aai gulshan ki faza mein kanton se daman ka bachana khel nahin tu ishq ke gham ko ai waiz apna gham-e-isyan samjha hai ye teri samajh se bahar hai is gham ka samajhna khel nahin ye kaam badi jurat ka hai ye baat badi himmat ki hai khud apna nasheman apne hi hathon se jalana khel nahin kuchh dil hi hamara waqif hai jo hum pe musibat padti hai mahaul-e-mukhalif mein rah kar haq apna jatana khel nahin jis waqt nigahen un se milin kuchh kahte sunte ban na padi ehsas-e-tamanna aasan hai tafsir-e-tamanna khel nahin ai dost hamari tarah zara himmat ki zarurat hoti hai maikhane mein badh kar saqi se nazron ka milana khel nahin duniya pe kabhi hum hanste the ab hum pe ye duniya hansti hai auron ka tamasha khel sahi khud apna tamasha khel nahin kuchh sar ki yahan takhsis nahin hai dil ki zarurat 'sajid' ko sajde ki to manzil aur hai kuchh sajde ka irada khel nahin