gham sahe ruswa hue jazbaat ki tahqir ki hum ne chaha aap ko hum ne badi taqsir ki rauzan-e-zindan se dar aai hai suraj ki kiran ban gai naqus-e-azadi sada zanjir ki khun ke chhinte pade hain shaikh ki dastar par shahr ki galiyon se aai hai sada takbir ki zat ke andar talatum zat ke bahar sukut maslahat-koshi ne kaisi shakhsiyyat tamir ki ghar ke darbanon ne sare ghar pe qabza kar liya hum ne aankhen kholne mein kis qadar takhir ki rasta dhundo ki manzil zat mein mahsur hai band darwazon ke bahar hai kiran tanwir ki