husn ke sehr o karamat se ji darta hai ishq ki zinda riwayat se ji darta hai main ne mana ki mujhe un se mohabbat na rahi ham-nashin phir bhi mulaqat se ji darta hai sach to ye ki abhi dil ko sukun hai lekin apne aawara khayalat se ji darta hai itna roya hun gham-e-dost zara sa hans kar muskuraate hue lamhat se ji darta hai jo bhi kahna hai kaho saf shikayat hi sahi in ishaaraat-o-kinayat se ji darta hai hijr ka dard nai baat nahin hai lekin din wo guzra hai ki ab raat se ji darta hai kaun bhula hai 'naim' un ki mohabbat ka fareb phir bhi in taza inayat se ji darta hai