gham se mansub karun dard ka rishta de dun zindagi aa tujhe jine ka saliqa de dun be-charagi ye teri sham-e-ghariban kab tak chal tujhe jalte makanon ka ujala de dun zindagi ab to yahi shakl hai samjhaute ki dur hat jaun teri rah se rasta de dun tishnagi tujh ko bujhana mujhe manzur nahin warna qatre ki hai kya baat main dariya de dun li hai angdai to phir hath utha kar rakhiye thahariye main use lafzon ka labaada de dun ai mere fan tujhe takmil ko pahunchana hai aa tujhe khun ka main aakhiri qatra de dun suraj aa jae kisi din jo mere hath 'ali' ghont dun raat ka dam sab ko ujala de dun