hijr mein gham-kash koi mujh sa nahin aaj tak main ne use dekha nahin kahne wale ne to sab kuchh kah diya sunne wala ek bhi samjha nahin mah main kis ko sunaun haal-e-zar khwab mein bhi wo nazar aaya nahin jab nazar ho manzil-e-maqsud par rok sakti rah ki iza nahin aarzu hi us ki dil mein rah gai hath daman tak kabhi pahuncha nahin bazm-e-saqi mein hue wo sarfaraaz jam jin ke hath mein chhalka nahin wada-e-farda ki phir tafsil kar kya kaha tu ne koi samjha nahin hai ghazab phir sur ne chaunka diya nind bhar kar main abhi soya nahin apna sa munh le ke shana rah gaya pech gesu ka koi suljha nahin kasb har dam kuchh na kuchh karti hai ruh jaisa kal tha aaj main waisa nahin jo nahin mast-e-sharab-e-be-khudi us ne lutf-e-zindagi paya nahin jite ji apne ko kar deta tha khak maut se marna koi marna nahin yaad ai 'betab' rakhna yar ko par hai beda agar bhula nahin