gham tabassum mein jo Dhal jata hai

gham tabassum mein jo dhal jata hai
gham ka mafhum badal jata hai

hum ne dekha hai yahi har hasid
apni hi aag mein jal jata hai

koi maqsad ho rawabit ka agar
rabt har rukh se badal jata hai

aur ho jata hai ehsas shadid
naghma jab dard mein dhal jata hai

zindagi kya tere diwane ki
daman-e-gham mein bhi pal jata hai

ab na farmaiye takhir-e-karam
dekhiye waqt nikal jata hai

us taraqqi ko salam ai 'akhtar'
jis mein sab lutf-e-ghazal jata hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close