hayat aaj giran ho gai sabhi ke liye

hayat aaj giran ho gai sabhi ke liye
taras raha hai har insan zindagi ke liye

nashat-e-zist ki takmil ho nahin sakti
tumhaara dard zaruri hai zindagi ke liye

riya numud-o-numaish kahan ibaadat mein
khulus-e-qalb zaruri hai bandagi ke liye

agar hon qalb mein ehsas ke diye raushan
bahut se raste milte hain shaeri ke liye

sukhanwaran-e-dakan muttafiq hain sab 'akhtar'
‘safi' ghazal ke liye tha ghazal ‘safi' ke liye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close