kitne khwab tute hain kitne chand gahnae jo raqib-e-zulmat ho ab wo aaftab aae dushmanon ko apnaya doston ke gham khae phir bhi ajnabi thahre phir bhi ghair kahlae na-khuda ki niyyat ka khul gaya bharam to kya baat jab hai kashti bhi dubne se bach jae hadse bhi barsenge zalzale bhi aaenge ye safar qayamat hai tum kahan chale aae phul phul barham hai khar khar dushman hai hum 'mujib' gulshan se lau laga ke pachhtae