kya ghata aasman pe chhai hai jaise bhar kar sharab lai hai maut se kar ke dil-lagi hum ne zindagi se najat pai hai thame rakkha teri nigahon ne naw jab meri dagmagai hai rashk karne lagi hai baad-e-saba jab khizan par bahaar aai hai mai se tauba to kar chuke the huzur tishnagi aap ne badhai hai ek bachche ki muskurahat mein kya muqaddas kitab pai hai khat wo 'swami' padhe nahin jate bund aansu ki jin mein pai hai