ghamgin nahin hun dahr mein to shad bhi nahin aabaad agar nahin hun to barbaad bhi nahin milti teri wafa ki mujhe dad bhi nahin majnun nahin hai dahr mein farhad bhi nahin kahta hai yar jurm ki pate ho tum saza insaf agar nahin hai to be-dad bhi nahin insan ki qadr kya hai jo ho tere ru-ba-ru tere muqable mein pari-zad bhi nahin afsos kis se yar ki khinchwaiye shabih 'mani' nahin jahan mein hai 'bahzad' bhi nahin karta hai uzr-e-jaur-o-jafa yar tu abas hona jo tha hua wo hamein yaad bhi nahin kushta hua hun abru-e-khamdar-e-yar ka mere liye zarurat-e-jallad bhi nahin hasrat bhare hue gae duniya se saikadon tasdiq kis se kijiye shaddad bhi nahin 'bahram' mere zor-e-tabiat se hai sukhan shagird main nahin hun to ustad bhi nahin