na puchh rabt hai kya us ki dastan se mujhe bichhad gaya ki bichhadna tha karwan se mujhe mere badan mein koi bhar de barf ke tukde ki aanch aati hai raaton ko kahkashan se mujhe kiraya-dar badalna to us ka shewa tha nikal kar wo bahut khush hua makan se mujhe sadaen jism ki diwar par karti hain koi pukar raha hai magar kahan se mujhe khada khada yunhi sar par kahin na aan gire laga hi rahta hai ye dar bhi aasman se mujhe ab us ki bari hai to us se kaise munh modun kabhi to us ne bhi chaha tha jism-o-jaan se mujhe mere iradon ko wo mujh se puchh kar 'afsar' do-chaar kar gaya ek aur imtihan se mujhe