ginti mein be-shumar the kam kar diye gae hum sath ke qabilon mein zam kar diye gae pahle nisab-e-aql hua hum se intisab phir yun hua ki qatl bhi hum kar diye gae pahle lahuluhan kiya hum ko shahr ne phir pairahan hamare alam kar diye gae pahle hi kam thi qarya-e-jaanan mein raushni aur us pe kuchh charagh bhi kam kar diye gae is daur-e-na-shanas mein hum se arab-nazhad lab kholne lage to ajam kar diye gae