manzil ki dhum dham se jab ji uchat gaya rah-gir jaise sainkadon raston mein bat gaya afsos dil tak aane ki rahen na khul sakin koi faqat khayal tak aa kar palat gaya hum taul baithe subh-dam insan ko sae se suraj ke sar pe aate hi saya simat gaya kya jaane kis chatan se takra gaya hai dil chalta hua safina achanak ulat gaya ab koi dhund-dhand ke lao naya wajud insan to bulandi-e-insan se ghat gaya manzil pe gard-e-wahm-o-guman thi wo dhul gai raste mein aql o hosh ka patthar tha hat gaya mahfil bhi nur-bar hai saqi bhi khum ba-dosh mere hi naw nosh ka meyar ghat gaya manzil kahin mili na mili lekin ai 'raza' manzil ke ishtiyaq mein rasta to kat gaya