ghamon ki duniya ko raund dalen nashat-e-dil paemal kar len nai mohabbat naya junun hai khudaya kya apna haal kar len jo chaar aanhken karo to jaanen nazar mila kar hanso to jaanen qasam tumhaari agar na tum ko sharik-e-ranj-o-malal kar len ajib arman ajib hasrat ajib khwahish ajib wahshat ki ban pade to unhen bhi apni tarah sarapa malal kar len wo ek lamha wo ek saat hua tha jab un se ahd-e-ulfat use bhi kya ai khuda-e-rahmat sharik-e-khwab-o-khayal kar len