iltifat-ashna hijab tera lutf-e-pinhan hai ijtinab tera kya mila hai maal-e-bedari meri aankhen hain aur khwab tera dil se karta hun lakh lakh sawal yaad aata hai jab jawab tera koi dekhe tujhe to kya dekhe ki tera husn hai naqab tera hae un laghzishon ki ranai dhundhta hai jinhen itab tera ishrat-e-dil thi dil ki barbaadi tut kar ban gaya rabab tera kis se puchhen ki ab kahan hai 'rawish' hae wo khanuman-kharab tera