ghamon ko apne daba ke rakhna kamal hai ya nahin hai bolo ye dil ki daulat chhupa ke rakhna kamal hai ya nahin hai bolo har ek tamanna ki rahguzar par mukhalifat ki hawa ke sar par charagh-e-ulfat jala ke rakhna kamal hai ya nahin hai bolo samundaron ka mizaj ho kar zamin-e-chahat pe ashk bo kar labon pe khushki saja ke rakhna kamal hai ya nahin hai bolo rafaqaton ke usul jaise mahakte khush-rang phul jaise jigar ko patthar bana ke rakhna kamal hai ya nahin hai bolo wo guzre lamhe wo sal sare diye jo rumal tum ne sare wo apne dil mein saja ke rakhna kamal hai ya nahin hai bolo wo raushni ka suragh ban kar khuli chhaton ka charagh ban kar khilaf khud ko hawa ke rakhna kamal hai ya nahin hai bolo nae zamana ke qasidon se hai bachna kis tarah hasidon se 'shikha' ko sab kuchh sikha ke rakhna kamal hai ya nahin hai bolo