kahkashan ko toD kar sare ke sare aa gae

kahkashan ko tod kar sare ke sare aa gae
chand ko main ne pukara tha sitare aa gae

sar-phire suraj ke marne ka tamasha dekhne
sham ke manzar bhi baalon ko sanware aa gae

yaad jab main ne kiya un ko bhare manjdhaar mein
khud-ba-khud kashti mein chal kar ye kinare aa gae

han yahi sach hai bichhadte waqt apni aankh mein
un ki galiyon ke liye rangin nazare aa gae

prem-dhan ki bansuri aisi bajai shyam ne
nafraton ke dewta bhi munh utare aa gae

mai-kashon ki bazm mein tha ranj-o-gham par tabsira
main ne di aawaz sab ulfat ke mare aa gae

hamd likhne ko qalam jab bhi uthai hai 'shikha'
lafz sare ba-adab banhen pasare aa gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close