har fitna-o-tafriq se bezar hain hum log sail hain mohabbat ke talabgar hain hum log hindu na musalman na isai na sikh hain is mulk ki tahzib ke minar hain hum log tamir-e-gulistan mein lahu sab ka hai shamil hai fakhr ki is mulk ke meamar hain hum log tafriq-o-tassub ke jo hami hain abhi tak ab un ke liye barsar-e-paikar hain hum log jo baat kahi jab bhi sar-e-dar kahi hai ghaddar nahin sahib-e-kirdar hain hum log taqsim hamein karne ki jurat bhi na karna ai fitna-garo azm ki diwar hain hum log hum ne hi jinhen rasm-e-wafadari sikhai ab wo hamein kahne lage ghaddar hain hum log mazhab na kisi zat na sarhad se hai matlab mazlum koi bhi ho madad-gar hain hum log yak-jehti ki taqat pe 'tarab' naz hai hum ko waqt aane do dikhlaenge tayyar hain hum log