ghamon se istifada kar raha hun mohabbat ka iada kar raha hun tere naqsh-e-qadam se dur hat kar alag tamir jada kar raha hun tere har kaam ko neki samajh kar zamane se ziyaada kar raha hun dhake tan bhi mile izzat bhi jis se wo tahzib-e-libaada kar raha hun kisi se dad bhi leni hai mujh ko bayan-e-sher sada kar raha hun hamesha sach ugalwata raha hai tabhi tarif-e-baada kar raha hun wo jis se kha chuka hun mat 'jami' usi ka phir irada kar raha hun