tishnagi bhi hai yahi aur yahi pani bhi mar deti hai mohabbat ki farawani bhi itna khul kar bhi mere raaz nihan hain mujh se sat pardon ki tarah hai mujhe uryani bhi chhod kar tujh ko teri yaad ko apnana hai is liye chehre pe raunaq bhi hai virani bhi aks aaine se bahar pada rah jata hai chhod jati hai kisi mod pe hairani bhi dil mere dil gham-e-duniya se nipat le ki abhi tujhe karni hai nae zakhm ki mehmani bhi zindagi tujh ko basar karna bahut mushkil hai kar rahe hain ki milegi kabhi aasani bhi