ghanghor ghata ke aanchal ko jab kali raat nichod gai ek tanhai ko chain mila ek tanhai dam tod gai ai waqt ke andhe rakhwalo ye raaz to hum bhi jaante hain be-wajh tumhaari aankhon se kyun binai munh mod gai ek wo bhi safina tha apna jo sahil sahil ghum gaya ek ye bhi hamari kashti hai jo lahron mein sar phod gai har chand nazar ne taron par shab-khun to mara hai lekin ye raat sahar ke daman par kuchh dagh lahu ke chhod gai insan ka raushan mustaqbil jis waqt charagh-e-rah bana har manzil apne qadmon se tarikh ka nata jod gai