shahr-e-hawa mein jalte rahna andeshon ki chaukhat par raat gae tak uljhe rahna be-mafhum khayalon mein qasr-e-umr gawahi dega kaise kaise karb sahe kaisi kaisi rut guzri hai hum par itne salon mein dosh-e-khala se khak-e-zamin par utre to ehsas hua tare bantne wale rahi pad gae kin janjalon mein le aai kis qarya-e-shab mein ek jhute mahtab ki chah saya saya bhatak raha hun be-tanwir ujalon mein mausam mausam yahi raha gar khushbu ki tahqir ka rang sise ki kaliyan phutengi ab lohe ki dalon mein 'sajid' ab tak bhugat rahe hain ek be-ant saza ki umr apna nam likha baithe the ek din jine walon mein