ghar banate waqt is ka dhyan hona chahiye

ghar banate waqt is ka dhyan hona chahiye
dhup rakhne ke liye dalan hona chahiye

tang galiyon ki tarah hargiz na rasm-o-rah ho
dosti mein dil khula maidan hona chahiye

khubsurat guftugu kya istiaron ke baghair
is sahife ke liye juzdan hona chahiye

ho sake taza hawa ka mahbas-e-jaan mein guzar
dil ki diwaron mein raushan-dan hona chahiye

sirf gul-poshi nahin hai mehmani ki dalil
mezban ki aankh mein gul-dan hona chahiye

sahib-e-fahm-o-darak hone pe bhi aulad ko
bap-man ke samne nadan hona chahiye

chand lamhon ko thaharna hai yahan jabki 'fahim'
kam bahut hi kam sar-o-saman hona chahiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close