guzre tamam umr ajab imtihan se hum uljhe kabhi zamin se kabhi aasman se hum is aaine ko mausam-e-gul ki talash hai ahd-e-shabab dhund ke laen kahan se hum jaise wo aasman hi mutthi mein aa gaya the itna khush-guman kisi bad-guman se hum aawargi-e-shauq mein sud-o-ziyan hai kya ye karobar sikh rahe hain dhuan se hum tanqid kar rahe hain usi ki zaban par alfaz le ke aae hain jis dastan se hum jo nigah-e-intikhab ke qabil na tha kabhi aankhen ladane baith gae us jahan se hum iqrar ko bana gae inkar wo 'fahim' kahte the jo palatte nahin hain bayan se hum