ghar to hamara shoalon ke narghe mein aa gaya lekin tamam shahr ujale mein aa gaya ye bhi raha hai kucha-e-jaanan mein apna rang aahat hui to chand dariche mein aa gaya honton pe ghibaton ki kharashen liye hue ye kaun aainon ke qabile mein aa gaya aandhi bhi bachpane ki hadon se guzar gai mujh ko bhi lutf shama jalane mein aa gaya kuchh der tak to us se meri guftugu rahi phir ye hua ki wo mere lahje mein aa gaya