ghar kabhi tha wo hamara bhi jidhar ke hum hain kya bataen tumhein kis chand-nagar ke hum hain hadd-e-fasil nahin khinchti hai dilon ke mabain jis mein yaaden hain hamari usi ghar ke hum hain man ki aaghosh ki manind hon shakhen jis ki wo kisi des ka ho aise shajar ke hum hain pyar se badh ke bhala aur koi kya dega ye jahan se bhi mile bas usi dar ke hum hain ek tabiat ki nahin milti zamane-bhar se jaane kis des ke hain kaun dagar ke hum hain dal de panw mein zanjir hi ab to maula aur hijrat ka na dam hai na safar ke hum hain