ghar ke zindan se use fursat mile to aae bhi jaan-faza baaton se aa ke mera dil bahlae bhi lag ke zindan ki salakhon se mujhe wo dekh le koi ye paigham mera us talak pahunchae bhi ek chehre ko tarasti hain nigahen subh o sham zau-fishan khurshid bhi hai chandni ke sae bhi siskiyan leti hawaen phir rahi hain der se aansuon ki rut mere ab gulistan se jae bhi roz hansta hai salibon se udhar mah-e-munir us ke pichhe kaun hai wo chhab mujhe dikhlae bhi