parda-e-rukh kya utha har-su ujale ho gae sab andhere daman-e-shab ke hawale ho gae main ne jab chaha ki hon sairab dil ki hasraten sare lamhe zindagi ke khushk pyale ho gae bughz-o-nafrat ke dhuwen se ghut rahe the sab ke dam jal gain jab pyar ki shamen ujale ho gae hasraton ko manzilen mil jaen mumkin hi nahin khwahishon ke raste ab aur kale ho gae ab kahin aisa na ho nasur ban jaen ye sab dil pe jitne bhi nishan the wo to chhaale ho gae mujh ko maidan-e-musibat mein akela dekh kar mujh se aage meri himmat ke risale ho gae sanp ki manind ye bhi ek din das jaega chashm-e-hasrat mein bahut din khwab pale ho gae ek koshish aur kar ke dekhte 'shaarib'-miyan ab bahut din aap ko kichad uchhaale ho gae