ye raaz us ne chhupaya hai khush-bayani se ki mera zikr bhi ghaeb hai ab kahani se main khwahishon ke namak ka hun dher mat puchho jo mera khauf hai jazbon ke bahte pani se ghurur todna main chahta hun dariya ka badal de tu meri luknat ko ab rawani se sukhan mein kuchh nahin eajaz ki tamanna hai so arz karne lage hum bhi be-zabani se main hira to nahin poshida koele mein kahin kabhi kabhi to lage dar bhi be-nishani se pahad jaise dinon ko to kat lun lekin nikal na paun main ek raat ki girani se jo kaam jabr ki aandhi bhi kar nahin pati wo kaam hota hai khamosh mehrbani se maza liya gaya aawargi ka khub 'suhail' malul main na hua apni be-makani se