ghar ki surat jo bhi ho us par hirasan main nahin

ghar ki surat jo bhi ho us par hirasan main nahin
dar muqaffal hain to diwaron se larzan main nahin

tujh mein himmat hai so phir shishe mein mujh ko bhi utar
han magar ye jaan le itna bhi aasan main nahin

nafraton ki tah mein kitni chahaten hain ye to soch
tu gurezan ho to ho tujh se gurezan main nahin

raushni dil mein agar ho ek sitara hi bahut
dubte suraj ke manzar se pareshan main nahin

main ki apni zat mein shoala bhi hun shabnam bhi hun
phir bhi apne-ap se dast-o-gareban main nahin

raste ke pech-o-kham mere lahu ki tak mein
bakht ke andhe kuen mein pa-ba-jaulan main nahin

mausamon ki dhup se kajla gaya chehre ka rang
aadmi hun be-niyam-e-barq-o-tufan main nahin

sochta hun kis kharabe mein mujhe laya gaya
apne hone par ba-har-surat pasheman main nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close