mujhe is baat ka shikwa nahin hai ki jo mera tha ab mera nahin hai main sach se ru-ba-ru ho jaun kaise mere kamre mein aaina nahin hai gharibi mein uthae lash khud ki wo jita hai magar zinda nahin hai makan gunja jo us ke bolne se wo tab samjha ki wo tanha nahin hai asar mein hun tumhaare ye to sach hai magar itna guman achchha nahin hai