tumhaara rang rang-e-asman jaisa badalta hai kisi ko chahne wala kahin itna badalta hai saba shabnam shafaq rukhsar gul mahtab in sab ka tumhaara nam leta hun to kyun chehra badalta hai saba guftar shirin lab sitara chashm hain to kya badalte hum bhi hain jab samne wala badalta hai kabhi jati nahin jangal ki bu sandal ke paikar se ki surat ke badalne se kahin rishta badalta hai ye shahr-e-be-sada andar se shahr-e-arzu nikla dhuan har-dam yahan bujhte charaghon ka badalta hai utarte waqt pani mein zara ye dekh lena tha ki andar beach mein ja kar yahi dariya badalta hai raho diwar ke sae mein lekin dekhte rahna hamesha rukh yahan diwar ka saya badalta hai sukhan rasta lakiron se nahin lafzon se raushan hai lakiren pitne se bhi kabhi rasta badalta hai 'matin' aao chalen kheme ki jaanib ek zara so len wo dekho subh ka tara libas apna badalta hai