hum chor nahin hain na utha tu hamein dar se kuchh bhag nahin jaenge le kar tere ghar se kis tarah nikalun tere nawak ko jigar se mehman ko nikala hai kisi ne kahin ghar se ye dekhte jate hain koi dekh na pae aate hain mere ghar ko jo wo ghair ke ghar se awwal to tere kuche mein jaane nahin pata aur jata hai koi to kafan bandh ke sar se sahra mein hai ya koh mein hai kuchh nahin malum 'mahmud' ko muddat hui nikle hue ghar se