ghar mein sahra hai to sahra ko khafa kar dekho shayad aa jae samundar ko bula kar dekho dasht ki aag badi chiz hai aankhon ke liye shahr bhi khub hi jalta hai jala kar dekho tum ne khushbu se kabhi ahd-e-wafa bandha hai raushni ko kabhi bistar mein lita kar dekho kis ne toda hai zamin aur qadam ka rishta aaj ki raat yahi khoj laga kar dekho ye baraste hue baadal to na sone denge koi bachpan ki kahani hi suna kar dekho hijr achchha hai na ab us ka visal achchha hai is liye aur kahin ishq lada kar dekho