ghar sajaen to kya tamasha ho aur jalaen to kya tamasha ho hum raqibon ke samne khul kar muskuraen to kya tamasha ho baat jo aaj tak chhupai thi ab bataen to kya tamasha ho un ke ek ek sitam pe hum un ko khun rulaen to kya tamasha ho shaikh-o-zahid kabhi range hathon hath aaen to kya tamasha ho hum bula kar unhen sar-e-manzil laut jaen to kya tamasha ho