zamin roi hamare haal par aur aasman roya hamari bekasi ko dekh kar sara jahan roya main jab nikla chaman se shabnam aab-e-gulistan roya udasi chha gai aisi khud aakhir baghban roya na aaya rahm kuchh bhi aah dil mein us sitamgar ke hamari jabha-sai ke asar se aastan roya har ek azw-e-badan matam-kunan hai dil ke jaane se hua yusuf jo gum to karwan ka karwan roya khalal-afgan teri bazm-e-tarab mein kaun ho zalim hua kya gar tere kuche mein koi tufta-e-jaan roya mere aansu teri bedad ka parda na kholenge abas ye bad-gumani hai main kab roya kahan roya udu khush hon to hon ai be-murawwat teri mahfil mein mera to haal ye hai jab kabhi aaya yahan roya jafa-e-dushmanan aur bewafai-ha-e-yaran se bahut gham-dida ho kar 'wahshat'-e-azurda-jaan roya