wo apne ghar ke darichon se jhankta kam hai talluqat to ab bhi hain rabta kam hai tum is khamosh tabiat pe tanz mat karna wo sochta hai bahut aur bolta kam hai bila sabab hi miyan tum udas rahte ho tumhaare ghar se to masjid ka fasla kam hai fuzul tez hawaon ko dosh deta hai use charagh jalane ka hausla kam hai main apne bachchon ki khatir hi jaan de deta magar gharib ki jaan ka muawza kam hai