ghar se burqa jo ulat wo mah-e-taban nikla chaunk uthi khalq ki in mehr-e-darakhshan nikla mah ko aur tujh ko jo mizan-e-khirad mein tola is se to husn mein ai yar do chandan nikla rah gae hosh-o-hawas-o-khirad-o-taqat sab yun tere kuche se main be-sar-o-saman nikla yan talak tir-e-mizha khae hain main ne us ke ja-e-sabza mere marqad pe niyastan nikla tere bimar ki sunte hain ye haalat hai ki ab jo gaya us ki khabar ko so wo giryan nikla wah kya tod teri tir-e-nigah ka hai ki yar jis ke sine mein laga pusht se paikan nikla sozish-e-dil ko bhi mere na bujhaya tum ne kaam itna bhi na ai dida-e-giryan nikla fath dijo tu use ya shah-e-mardan ki tera mulk-giri ko jo hai ab ye 'sulaiman' nikla