surkh-ru hone ke qabil kya hina thi main na tha aap ke qadmon ke niche us ko ja thi main na tha dekhte kya ho udhar gar zulf barham ho gai ye sarasar harkat-e-baad-e-saba thi main na tha jal gae aghyar sab mahfil mein aane se mere ai pari ye garmi-e-ah-e-rasa thi main na tha kyun na us hasrat se mera shisha-e-dil chur ho bagh tha saqi tha sabza tha hawa thi main na tha