tum apni zaban khali kar ke ai nukta-waro pachhtaoge main khub samajhta hun us ko jo baat mujhe samjhaoge ek main hi nahin hun tum jis ko jhuta kah kar bach jaoge duniya tumhein qatil kahti hai kis ko kis ko jhutlaoge ya rahat-e-dil ban kar aao ya aafat-e-dil ban kar aao! pahchan hi lunga main tum ko jis bhes mein bhi tum aaoge har baat bisat-e-alam mein manind-e-sada-e-gumbad hai auron ko bura kahne walo tum khud bhi bure kahlaoge phir chain na paoge 'akhtar' is dard ki mari duniya mein is dar se agar uth jaoge dar, dar ki thokar khaoge