ghar se hum ghar talak gae honge apne hi aap tak gae honge hum jo ab aadmi hain pahle kabhi jam honge chhalak gae honge wo bhi ab hum se thak gaya hoga hum bhi ab us se thak gae honge shab jo hum se hua muaf karo nahin pi thi bahak gae honge kitne hi log hirs-e-shohrat mein dar par khud latak gae honge shukr hai is nigah-e-kam ka miyan pahle hi hum khatak gae honge hum to apni talash mein akasr az sama-ta-samak gae honge us ka lashkar jahan-tahan yani hum bhi bas be-kumak gae honge 'jaun' allah aur ye aalam bich mein hum atak gae honge