ghar se nikal bhi aaen magar yar bhi to ho ji ko lage kahin koi kirdar bhi to ho ye kya ki barg-e-zard sa tute bikhar gae aandhi chale hawaon ki yalghaar bhi to ho sar ko abas hai sang-e-tawatur ka samna sahn-e-makan mein shakh-e-samar-bar bhi to ho anmol hum guhar hain magar tere waste bik jaen koi aisa kharidar bhi to ho kaghaz ki kashtiyon mein samundar lapet len pahlu mein tere qurb ki patwar bhi to ho sab ko usi ke lahje ki tauqir chahiye 'mohsin' kisi ko mir sa aazar bhi to ho