purane zakhm ko dil se mitaya bhi nahin jata teri chahat ko auron se chhupaya bhi nahin jata tamiz-e-khar-o-gul se main hua waqif nahin ab tak kahan raushan-zamiri hai dikhaya bhi nahin jata lagi ek aag hai har su aziyyat aur nafrat ki sulagti aag ko mujh se bujhaya bhi nahin jata kahan karta musalman hai kisi ki ab nigahbani nafas ke hath lutne se bachaya bhi nahin jata nahin maqsud hai 'mohsin' jahan mein dil lagana yun jahan mein is haqiqat ko bataya bhi nahin jata