samne aankhon ke ghar ka ghar bane aur tut jae kya kare wo jis ka dil patthar bane aur tut jae hae re un ke fareb-e-wada-e-farda ka jal dekhte hi dekhte ek dar bane aur tut jae hadson ki thokaron se chur hona hai to phir kyun na khamoshi se dil saghar bane aur tut jae hum bhi le len lutf-e-tir-e-nim-kash gar wo nazar aate aate qalb tak khanjar bane aur tut jae un ke daman ki hawa bhi kis ko hoti hai nasib aaj har aansu mera gauhar bane aur tut jae yun bikharta hi raha ai 'tarz' har sapna mera subh jaise khwab ka manzar bane aur tut jae